Monday 10 December 2012

URDU SHAYARI

                                    URDU SHAYARI


Jo tarkeebein hai zehen me aaj unhe sunane Baithi hoon,
Kisi aur se nhi, umeedein khud se lgaane Baithi hoon,
Taalash hai apni rooh ki aaj use jgaane Baithi hoon,
Soch apni ko ek Nya mukaam dilane Baithi hoon…


Bachpan ki eid bhi kya suhaani hotii thi,
naye kapdo ki khushi hoti thi,
ab na khushi na gham hota hai,
aur ek nayi eid lamho me puraani hotii hai…


Tishnagi mein zahar pilata hai koi,
jeene ka tarika sikhaata hai koi,
yun na dikhaao mujhe aa’iina dosto,
aa’iine mein dhundhala sa nazar aata hai koi…


Mai khush hun apni tassavurr ki zindagi me,
pasand nahi mujhko haqiqaton ki kahaniya


Bewafa se hum wafa ki arzoo karte rahe,
Dasht me pani ki jaise justujoo karte rahe,
Gair to daman par uske padh chuke apni namaz,
Aur hum apne hi ashko se wuzoo karte rahe…


Mera Dil Hai Jab Tak, Teri Justaju Hai
Meri Zubaan Jab Tak, Teri Guftagu Hai
Khuda Jaane Kya Hoga Anjaam Mera
Jahan Dekhta Hoon Tu Hi Tu Rubaru Hai…



for see more shayri clike here    http://www.facebook.com/myfeelingsmyimmotion

No comments:

Post a Comment